Battiyan chala lo chahe jitni bhi
andhera magar kaayam rahega
insaan hi hai insaan ka dushman jab talak
khoon yoon hi bahta rahega
baaroodon se banti rahegi jab tak diwali
sannata yoon hi chhaya rahega
ek aas lagaye baitha hun dil mein
yeh aatankvaad jane kab thamega
is masoom ka is sab se hai kya len den
magar bin pita ke isko khil0ne laake kaun dega
aur woh bhar rahi kone mein padi siskiyaan
uski maang mein sindoor kaun bharega
hindu muslim sikh isai
charon kabhi the bhai bhai
magar ab ladte hain har dam
dhara ka vinash pehle kaun karega
shiksha chhodo, garibi chhodo
pehle tum mandir banao
aakhir bin mandir ke insaan
apne dukhde kahan kahega
bus chalao, cricket khilao
yaa phir unko yahan bulao
dilon mein nafratein hai jab tak
kargil kandhaar hota rahega
kashmir, iraq, pak, filistaan
khoon yoon hi behta rahega
battiyan chala lo chahe jitni
andhera yuun hi kayam rahega.
you hit hard in humor.. i don’t think serious stuff suits you..